achchhe lafzoñ se navāze yā vo rusvā.ī kare
us ko haq hai ki burā.ī kare achchhā.ī kare
pyaar to soch kī dīvār hilā detā hai
kaun is zehn ke dushman se shanāsā.ī kare
haath se haath jhaTak de ki use thāme rakhe
us ko āzādī hai jab chāhe vo jī aa.ī kare
kyā ḳhabar ḳhud ko hī ab bechnā paḌ jaa.e yahāñ
kis ko ma.alūm sitam kaise ye mahñgā.ī kare
karb zanjīr kī mānind jakaḌ letā hai
bhaa.ī ko sahnā hī paḌtā hai agar bhaa.ī kare
maiñ ne zehnoñ se qadāmat ko khurach Daalā he
shahr kā shahr mire dar pe jabīñ-sā.ī kare
pyaar rūhoñ meñ kashish ban kī dhaḌaktā hai 'niyāz'
ye vo jazba hai jo pal-bhar meñ shanāsā.ī kare