qillat ḳhulūs kī hai mohabbat kā kaal hai
is shahr-e-nā-sipās meñ jiinā muhāl hai
peḌoñ pe chāñdnī ke hayūle haiñ mahv-e-raqs
kamre meñ tīrgī kī lakīroñ kā jaal hai
sāñsoñ kā rabt jaise musalsal azaab ho
vo shaḳhs kyā jiye jise terā ḳhayāl hai
lamhoñ ne chhīn lī hai rutoñ se shaguftagī
ye saal mausamoñ ke taġhayyur kā saal hai
ab to shikast-e-jāñ ke amal se najāt de
ye nā-tavāñ vajūd dukhoñ se niDhāl hai
chiḌiyāñ chahak chahak ke pareshān ho ga.iiñ
kavvoñ kā shor ghar kī fazā kā vabāl hai
phūloñ kā lams chāñd kī ThanDak bhī hech hai
vo ḳhush badan to aap hī apnī misāl hai
aa phir se mere pyaar kī taqdīs ban 'niyāz'
aa kāñpte laboñ pe tirā hī savāl hai