shajar ārām-dah hone lage haiñ
parinde rāt-din sone lage haiñ
ye kaisā sāneha ab ke huā hai
sabhī chhoTe baḌe rone lage haiñ
mohabbat bāñjh dhartī ban ga.ī hai
badan ab be-samar hone lage haiñ
is ahd-e-nāravā ke ahl-e-dānish
kabhī Thigne kabhī baune lage haiñ
sadā.eñ be-sadā alfāz banjar
qalam vīrān se hone lage haiñ
bahī-ḳhvāhoñ ko ḳhush rakhne kī ḳhātir
ham apne aap pe rone lage haiñ