Makhdoom Mohiuddin

ye kaun aata hai tanhaiyon mein jam liye

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
ye kaun aatā hai tanhā.iyoñ meñ jaam liye
jilau meñ chāñdnī rātoñ kā ehtimām liye
chaTak rahī hai kisī yaad kī kalī dil meñ
nazar meñ raqs-e-bahārāñ kī sub.h-o-shām liye
hujūm-e-bādā-o-gul meñ hujūm-e-yārāñ meñ
kisī nigāh ne jhuk kar mire salām liye
kisī ḳhayāl kī ḳhushbū kisī badan kī mahak
dar-e-qafas pe khaḌī hai sabā payām liye
mahak mahak ke jagātī rahī nasīm-e-sahar
laboñ pe yār-e-masīhā-nafas kā naam liye
bajā rahā thā kahīñ duur koī shahnā.ī
uThā huuñ āñkhoñ meñ ik ḳhvāb-e-nā-tamām liye
Top Urdushayar.com