Makhdoom Mohiuddin

raushan hai bazm-e-shoala-ruKHan dekhte chalen

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
raushan hai bazm-e-sho.ala-ruḳhāñ dekhte chaleñ
is meñ vo ek nūr-e-jahāñ dekhte chaleñ
vā ho rahī hai mai-kada-e-nīm-shab kī aañkh
añgḌā.ī le rahā hai jahāñ dekhte chaleñ
sargoshiyoñ kī raat hai ruḳhsār o lab kī raat
ab ho rahī hai raat javāñ dekhte chaleñ
dil meñ utar ke sair-e-dil-e-rah-ravāñ kareñ
aahoñ meñ Dhal ke zabt-e-fuġhāñ dekhte chaleñ
kaise haiñ ḳhānqāh meñ arbāb-e-ḳhānqāh
kis haal meñ hai pīr-e-muġhāñ dekhte chaleñ
maazī kī yādgār sahī yād-e-dil to hai
tarz-e-nashāt-e-nauha-garāñ dekhte chaleñ
sab vasvase haiñ gard-e-rah-e-kārvāñ ke saath
aage hai mish.aloñ kā dhuāñ dekhte chaleñ
āñchal se uḌ rahe haiñ fazāoñ meñ duur duur
shāyad vahī ho jān-e-butāñ dekhte chaleñ
aa hī ga.e haiñ raqs-gah-e-gul-ruḳhāñ meñ ham
kuchh rañg-o-bū kā sail-e-ravāñ dekhte chaleñ
Top Urdushayar.com