Makhdoom Mohiuddin

zindagi motiyon ki Dhalakti laDi zindagi rang-e-gul ka bayan dosto

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
zindagī motiyoñ kī Dhalaktī laḌī zindagī rañg-e-gul kā bayāñ dosto
gaah rotī huī gaah hañstī huī merī āñkheñ haiñ afsāna-ḳhvāñ dosto
hai usī ke jamāl-e-nazar kā asar zindagī zindagī hai safar hai safar
sāya-e-shāḳh-e-gul shāḳh-e-gul ban gayā ban gayā abr abr-e-ravāñ dosto
ik mahaktī bahaktī huī raat hai laḌkhaḌātī nigāhoñ kī sauġhāt hai
pañkhuḌī kī zabāñ phuul kī dāstāñ us ke hoñToñ kī parchhā.iyāñ dosto
kaise tai hogī ye manzil-e-shām-e-ġham kis tarah se ho dil kī kahānī raqam
ik hathelī meñ dil ik hathelī meñ jaañ ab kahāñ kā ye sūd-o-ziyāñ dosto
dosto ek do jaam kī baat hai dosto ek do gaam kī baat hai
haañ usī ke dar-o-bām kī baat hai baḌh na jaa.eñ kahīñ dūriyāñ dosto
sun rahā huuñ havādis kī āvāz ko pā rahā huuñ zamāne ke har raaz ko
dosto uTh rahā hai diloñ se dhuāñ aañkh lene lagī hichkiyāñ dosto
Top Urdushayar.com