Makhdoom Mohiuddin

simab-washi tishna-labi ba-KHabari hai

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
sīmāb-vashī tishna-labī bā-ḳhabarī hai
is dasht meñ gar raḳht-e-safar hai to yahī hai
is shahr meñ ik āhū-e-ḳhush-chashm se ham ko
kam kam hī sahī nisbat-e-paimāna rahī hai
be-sohbat-e-ruḳhsār añdherā hī añdherā
go jaam vahī mai vahī mai-ḳhāna vahī hai
is ahd meñ bhī daulat-e-kaunain ke bā-vasf
har gaam pe un kī jo kamī thī so kamī hai
har dam tire anfās kī garmī kā gumāñ hai
har yaad tirī yaad ke phūloñ meñ basī hai
har shaam sajā.e haiñ tamannā ke nasheman
har sub.h mai-e-talḳhī-e-ayyām bhī pī hai
dhaḌkā hai dil-e-zār tire zikr se pahle
jab bhī kisī mahfil meñ tirī baat chalī hai
vo itr tirī kākul-e-shab-rañg ne chhiḌkā
mahkī hai ḳhirad ruuh kalī ban ke khilī hai
Top Urdushayar.com