usī chaman meñ chaleñ jashn-e-yād-e-yār kareñ
diloñ ko chaak garebāñ ko tār-tār kareñ
shamīm-e-pairahan-e-yār kyā nisār kareñ
tujhī ko dil se lagā leñ tujhī ko pyaar kareñ
sunātī phirtī haiñ āñkheñ kahāniyāñ kyā kyā
ab aur kyā kaheñ kis kis ko sogvār kareñ
uTho ki fursat-e-dīvāngī ġhanīmat hai
qafas ko le ke uḌeñ gul ko ham-kanār kareñ
kamān-e-abru-e-ḳhūbāñ kā bāñkpan hai ġhazal
tamām raat ġhazal gaa.eñ dīd-e-yār kareñ