Makhdoom Mohiuddin

ek tha shaKHs zamana tha ki diwana bana

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
ek thā shaḳhs zamāna thā ki dīvāna banā
ek afsāna thā afsāne se afsāna banā
ik parī-chehra ki jis chehre se ā.īna banā
dil ki ā.īna-dar-ā.īna parī-ḳhāna banā
ḳhema-e-shab meñ nikal aatā hai gaahe gaahe
ek aahū kabhī apnā kabhī begāna banā
hai charāġhāñ hī charāġhāñ sar-e-āriz sar-e-jām
rañg-e-sad-jalva-e-jānāna sanam-ḳhāna banā
ek jhoñkā tire pahlū kā mahaktī huī yaad
ek lamha tirī dildārī kā kyā kyā na banā
Top Urdushayar.com