Makhdoom Mohiuddin

ishq ke shoale ko bhaDkao ki kuchh raat kaTe

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
ishq ke sho.ale ko bhaḌkāo ki kuchh raat kaTe
dil ke añgāre ko dahkāo ki kuchh raat kaTe
hijr meñ milne shab-e-māh ke ġham aa.e haiñ
chārasāzoñ ko bhī bulvāo ki kuchh raat kaTe
koī jaltā hī nahīñ koī pighaltā hī nahīñ
mom ban jaao pighal jaao ki kuchh raat kaTe
chashm o ruḳhsār ke azkār ko jaarī rakkho
pyaar ke naame ko doharāo ki kuchh raat kaTe
aaj ho jaane do har ek ko bad-mast-o-ḳharāb
aaj ek ek ko pilvāo ki kuchh raat kaTe
koh-e-ġham aur girāñ aur girāñ aur girāñ
ġham-zado teshe ko chamkāo ki kuchh raat kaTe
Top Urdushayar.com