Makhdoom Mohiuddin

wo jo chhup jate the kabon mein sanam-KHanon mein

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
vo jo chhup jaate the ka.aboñ meñ sanam-ḳhānoñ meñ
un ko lā lā ke biThāyā gayā dīvānoñ meñ
fasl-e-gul hotī thī kyā jashn-e-junūñ hotā thā
aaj kuchh bhī nahīñ hotā hai gulistānoñ meñ
aaj to talḳhī-e-daurāñ bhī bahut halkī hai
ghol do hijr kī rātoñ ko bhī paimānoñ meñ
aaj tak tanz-e-mohabbat kā asar baaqī hai
qahqahe gūñjte phirte haiñ bayābānoñ meñ
vasl hai un kī adā hijr hai un kā andāz
kaun sā rañg bharūñ ishq ke afsānoñ meñ
shahr meñ dhuum hai ik sho.ala-navā kī 'maḳhdūm'
tazkire rastoñ meñ charche haiñ parī-ḳhānoñ meñ
Top Urdushayar.com