Makhdoom Mohiuddin

tum gulistan se gae ho to gulistan chup hai

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
tum gulistāñ se ga.e ho to gulistāñ chup hai
shāḳh-e-gul khoī huī murġh-e-ḳhush-ilhāñ chup hai
ufuq-e-dil pe dikhā.ī nahīñ detī hai dhanak
ġham-zada mausam-e-gul abr-e-bahārāñ chup hai
ālam-e-tishnagī-e-bāda-gusārāñ mat pūchh
mai-kada duur hai mīnā-e-zar-e-afshāñ chup hai
aur aage na baḌhā qissa-e-dil qissa-e-ġham
dhaḌkaneñ chup haiñ sarishk-e-sar-e-mizhgāñ chup hai
shahr meñ ek qayāmat thī qayāmat na rahī
hashr ḳhāmosh huā fitna-e-daurāñ chup hai
na kisī aah kī āvāz na zanjīr kā shor
aaj kyā ho gayā zindāñ meñ ki zindāñ chup hai
Top Urdushayar.com