phir chhiḌī raat baat phūloñ kī
raat hai yā barāt phūloñ kī
phuul ke haar phuul ke gajre
shaam phūloñ kī raat phūloñ kī
aap kā saath saath phūloñ kā
aap kī baat baat phūloñ kī
nazreñ miltī haiñ jaam milte haiñ
mil rahī hai hayāt phūloñ kī
kaun detā hai jaan phūloñ par
kaun kartā hai baat phūloñ kī
vo sharāfat to dil ke saath ga.ī
luT ga.ī kā.enāt phūloñ kī
ab kise hai dimāġh-e-tohmat-e-ishq
kaun suntā hai baat phūloñ kī
mere dil meñ surūr-e-sub.h-e-bahār
terī āñkhoñ meñ raat phūloñ kī
phuul khilte raheñge duniyā meñ
roz niklegī baat phūloñ kī
ye mahaktī huī ġhazal 'maḳhdūm'
jaise sahrā meñ raat phūloñ kī