sahar se raat kī sargoshiyāñ bahār kī baat
jahāñ meñ aam huī chashm-e-intizār kī baat
diloñ kī tishnagī jitnī diloñ kā ġham jitnā
usī qadar hai zamāne meñ husn-e-yār kī baat
jahāñ bhī baiThe haiñ jis jā bhī raat mai pī hai
unhī kī āñkhoñ ke qisse unhī ke pyaar kī baat
chaman kī aañkh bhar aa.ī kalī kā dil dhaḌkā
laboñ pe aa.ī hai jab bhī kisī qarār kī baat
ye zard zard ujāle ye raat raat kā dard
yahī to rah ga.ī ab jān-e-be-qarār kī baat
tamām umr chalī hai tamām umr chale
ilāhī ḳhatm na ho yār-e-ġham-gusār kī baat