Makhdoom Mohiuddin

saz aahista zara gardish-e-jam aahista

Makhdoom Mohiuddin

Medak, Telangana, India

1908-1969
saaz āhista zarā gardish-e-jām āhista
jaane kyā aa.e nigāhoñ kā payām āhista
chāñd utrā ki utar aa.e sitāre dil meñ
ḳhvāb meñ hoñToñ pe aayā tirā naam āhista
kū-e-jānāñ meñ qadam paḌte haiñ halke halke
āshiyāne kī taraf tā.ir-e-bām āhista
un ke pahlū ke mahakte hue shādāñ jhoñke
yuuñ chale jaise sharābī kā ḳhirām āhista
aur bhī baiThe haiñ ai dil zarā āhista dhaḌak
bazm hai pahlū-ba-pahlū hai kalām āhista
ye tamannā hai ki uḌtī huī manzil kā ġhubār
sub.h ke parde meñ yaad aa ga.ī shaam āhista
Top Urdushayar.com