ye jī meñ hai ki mohabbat kā baab likhkūñgī
janāb-e-man ko maiñ ālī-janāb likkhūñgī
kabhī jo bhūle se paḌh le vo jaan hī legā
maiñ rāz-e-ishq ko yuuñ be-hisāb likkhūñgī
jo hausla hai to muñh pher kar guzar jaa.e
maiñ us kī chashm-e-karam ko itaab likkhūñgī
mire nasīb kā dār-o-madār hai us par
dil-e-ḳharāb ko ḳhāna-ḳharāb likkhūñgī
hisāb lūñgī tirī kaj-adā.ī kā aksar
kabhī vafā ko tirī be-hisāb likkhūñgī
buland parcham-e-insāniyat rahe jis meñ
maiñ daur-e-nau kā vo a.alā nisāb likkhūñgī
hazār mujh ko malāmat kā sāmnā ho magar
azāb-e-zīst ko kār-e-savāb likkhūñgī
jo mere baad paḌhī jaa.e ek muddat tak
maiñ husn-o-ishq kī aisī kitāb likhūñgī