Abbas Dana

maut ne muskura ke puchha hai

Abbas Dana

maut ne muskurā ke pūchhā hai
zindagī kā mizāj kaisā hai
us kī āñkhoñ meñ merī ġhazleñ haiñ
merī ġhazloñ meñ us kā chehrā hai
us se pūchho azaab rastoñ kā
jis kā sāthī safar meñ bichhḌā hai
chāñdnī sirf hai fareb-e-nazar
chāñd ke ghar meñ bhī añdherā hai
ishq meñ bhī maza hai jiine kā
ġham uThāne kā gar salīqa hai
chhoḌ zaḳhmoñ pe tabsira karnā
ab qalam se lahū Tapaktā hai
raushnī kī zabān meñ 'dānā'
vo charāġhoñ se baat kartā hai
Top Urdushayar.com