Abbas Dana

uski wafa na meri wafa ka sawal tha

Abbas Dana

us kī vafā na merī vafā kā savāl thā
donoñ hī chup the sirf anā kā savāl thā
is kashmakash meñ ḳhatm huā raat kā safar
zid thī mirī to us kī hayā kā savāl thā
sab muntazir the āsmāñ detā hai kyā javāb
pyāse laboñ pe kaalī ghaTā kā savāl thā
majbūr ham the aur vo muḳhtār thā magar
donoñ ke beach dast duā kā savāl thā
jaanā thā mai-kade se hameñ kū-e-yār tak
lekin hamārī laġhzish-e-pā kā savāl thā
taqsīm karne niklā thā vo raushnī magar
jalte hue diye ko havā kā savāl thā
'dānā' mujhe azal se ġhazal kī talāsh thī
ye merī zindagī kī adā kā savāl thā
Top Urdushayar.com