bevafā.ī us ne kī merī vafā apnī jagah
ḳhūn-e-dil apnī jagah rañg-e-hinā apnī jagah
kitne chehre aa.e apnā nuur kho kar chal diye
hai magar raushan abhī tak aa.ina apnī jagah
zindagī ne us ko sāhil se sadā.eñ diiñ bahut
vaqt kā dariyā magar bahtā rahā apnī jagah
us kī mahfil se mujhe ab koī nisbat hī nahīñ
hai mirī tanhā.iyoñ kā silsila apnī jagah
ham charāġhoñ se kareñge dostī kī baat ab
ye añdheroñ ne kiyā hai faisla apnī jagah
to samundar aur merī zaat ik qatra sahī
terī rahmat har taraf merī duā apnī jagah
ab to mujh ko bhī sadā dete haiñ 'dānā' kah ke log
zindagī rahne de apnā mashvara apnī jagah