Abbas Dana

ye baat sach hai ki tera makan uncha hai

Abbas Dana

ye baat sach hai ki terā makān ūñchā hai
tū ye na soch tirā ḳhāndān ūñchā hai
kamāl kuchh bhī nahīñ aur shohratoñ kī talab
sambhal ke tiir chalānā nishān ūñchā hai
kahīñ azaab na ban jaa.e us kā saaya bhī
sutūn TuuTe hue sā.ebān ūñchā hai
mujhe yaqīn hai tū shart haar jā.egā
ki dastaras se tirī āsmān ūñchā hai
vo qātiloñ ko chhuḌā lā.egā adālat se
hai us kī baat mudallal bayān ūñchā hai
qubūl kartā nahīñ ye diloñ ke rishtoñ ko
samāj tere mire darmiyān ūñchā hai
isī ġhurūr meñ 'dānā' saroñ se chhat bhī ga.ī
tire makān se merā makān ūñchā hai
Top Urdushayar.com