aql-o-dānish ko zamāne se chhupā rakkhā hai
ḳhud ko dānista hī dīvāna banā rakhā hai
ghar kī vīrāniyāñ le jaa.e churā kar koī
isī ummīd pe darvāza khulā rakkhā hai
ban ga.e ūñche mahal un kī ibādat gāheñ
naam daulat kā jahāñ sab ne ḳhudā rakkhā hai
qābil-e-rashk se vo duḳhtar-e-muflis jis ne
tañg-dastī meñ bhī izzat ko bachā rakkhā hai
jis ke mahloñ meñ charāġhoñ kā na thā koī shumār
us kī turbat pe faqat ek diyā rakkhā hai
is se baḌh kar tirī yādoñ kī karūñ kyā tāzīm
terī yādoñ meñ zamāne ko bhulā rakkhā hai
surḳh-rū ho ga.iiñ tanhā.iyāñ merī 'dānā'
us ne kāñdhe pe mire dast-e-hinā rakkhā hai