Abbas Dana

na ho jis pe bharosa us se hum yari nahin rakhte

Abbas Dana

na ho jis pe bharosa us se ham yaarī nahīñ rakhte
ham apne āshiyāñ ke paas chiñgārī nahīñ rakhte
faqat nām-e-mohabbat par hukūmat kar nahīñ sakte
jo dushman se kabhī laḌne kī tayyārī nahīñ rakhte
ḳharīdāroñ meñ rah kar zindagī vo bik bhī jaate haiñ
tire bāzār meñ jo log hushyārī nahīñ rakhte
banāo ghar na miTTī ke lab-e-sāhil ai nādānoñ
samundar to kināroñ se vafādārī nahīñ rakhte
anā ko saḳhtī-e-hālāt aksar toḌ detī hai
isī Dar se kabhī fitrat meñ ḳhuddārī nahīñ rakhte
dar-o-dīvār se un ke bhalā kyā aa.egī ḳhushbū
jo ghar ke sahn meñ phūloñ kī ik kyārī nahīñ rakhte
faqat lafzoñ se ham 'dānā' hunar kī daad lete haiñ
qalam vaale kabhī shauq-e-adākārī nahīñ rakhte
Top Urdushayar.com