apne hī ḳhuun se is tarah adāvat mat kar
zinda rahnā hai to sāñsoñ se baġhāvat mat kar
siikh le pahle ujāloñ kī hifāzat karnā
sham.a bujh jaa.e to āñdhī se shikāyat mat kar
sar kī bāzār-e-siyāsat meñ nahīñ hai qīmat
sar pe jab taaj nahīñ hai to hukūmat mat kar
ḳhvāb ho jaam ho taara ho ki mahbūb kā dil
TūTne vaalī kisī shai se mohabbat mat kar
dekh phir dast-e-zarūrat meñ na bik jaa.e zamīr
zar ke badle meñ usūloñ kī tijārat mat kar
pursish-e-hāl se ho jā.eñge phir zaḳhm hare
is se behtar hai yahī merī ayādat mat kar
sar jhukāne ko hī sajda nahīñ kahte 'dānā'
jis meñ dil bhī na jhuke aisī ibādat mat kar