Abbas Dana

mera KHulus abhi saKHt imtihan mein hai

Abbas Dana

mirā ḳhulūs abhī saḳht imtihān meñ hai
ki mere dost kā dushman mirī amaan meñ hai
vo ḳhush-nasīb parinda hai jo uḌaan meñ hai
ki tiir niklā nahīñ hai abhī kamān meñ hai
tumhārā naam liyā thā kabhī mohabbat se
miThās us kī abhī tak mirī zabān meñ hai
tum aake lauT ga.e phir bhī ho yahīñ maujūd
tumhāre jism kī ḳhushbū mire makān meñ hai
kahāñ milegā hasīnoñ ko daur-e-hāzir meñ
vo shāhzāda jo pariyoñ kī dāstān meñ hai
hai jism saḳht magar dil bahut hī nāzuk hai
ki jaise ā.īna mahfūz ik chaTTān meñ hai
tujhe jo zaḳhm de tū us ko phuul de 'dāna'
yahī usūl-e-vafā tere ḳhāndān meñ hai
Top Urdushayar.com