Abbas Dana

zarf se baDh ke ho itna nahin manga jata

Abbas Dana

zarf se baḌh ke ho itnā nahīñ māñgā jaatā
pyaas lagtī hai to dariyā nahīñ māñgā jaatā
chāñd jaisī bhī ho beTī kisī muflisī kī to
ūñche ghar vāloñ se rishta nahīñ māñgā jaatā
dostī kar ke havā se jo jalā deñ ghar ko
un charāġhoñ se ujālā nahīñ māñgā jaatā
apne kamzor buzurgoñ kā sahārā mat lo
sūkhe peḌoñ se to saaya nahīñ māñgā jaatā
peT bharte haiñ jo māñge hue TukḌe khā kar
un ke hāthoñ se nivāla nahīñ māñgā jaatā
bhiik bhī māñgo to tahzīb kā kaasa le kar
haath phailā ke ḳhazāna nahīñ māñgā jaatā
hai ibādat ke liye shart aqīdat 'dānā'
bandagī ke liye sajda nahīñ māñgā jaatā
Top Urdushayar.com