Abbas Dana

wafadari pe de di jaan ghaddari nahin aai

Abbas Dana

vafādārī pe de dī jaan ġhaddārī nahīñ aa.ī
hamāre ḳhuun meñ ab tak ye bīmārī nahīñ aa.ī
ḳhudā kā shukr sohbat kā asar hotā nahīñ ham par
adākāroñ meñ rah kar bhī adākārī nahīñ aa.ī
amīr-e-shahr ho kar bhī nahīñ koī tirī izzat
tire hisse meñ ġhairat aur ḳhuddārī nahīñ aa.ī
hamārī dars-gāhoñ kī nizāmat aisī bigḌī hai
kitābeñ paḌh ke bhī bachchoñ meñ hushyārī nahīñ aa.ī
lagā.ī aag us ne shahr meñ itnī safā.ī se
ki us ke ghar pe uḌ ke ik bhī chiñgārī nahīñ aa.ī
abhī se kis liye beTe ko bhejeñ naukrī karne
hamāre dast-o-pā meñ itnī lāchārī nahīñ aa.ī
maiñ nādānī pe apnī aaj tak hairān huuñ 'dānā'
ki duniyā ko samajhne kī samajhdārī nahīñ aa.ī
Top Urdushayar.com