naam ḳhushbū thā sarāpā bhī ġhazal jaisā thā
chāñd se chehre pe parda bhī ġhazal jaisā thā
saare alfāz ġhazal jaise the guftār ke vaqt
rañg-e-iz.hār-e-tamannā bhī ġhazal jaisā thā
phuul hī phuul the kaliyāñ thiiñ hasīñ galiyāñ thiiñ
aap ke ghar kā vo rasta bhī ġhazal jaisā thā
us kī āñkheñ bhī hasīñ aañkh meñ aañsū bhī hasīñ
ġham meñ Duubā huā chehra bhī ġhazal jaisā thā
vo javānī vo mohabbat vo sharārat kā nasha
vo mirī umr kā hissa bhī ġhazal jaisā thā
fāsle the na judā.ī thī na tanhā.ī thī
terī qurbat kā vo lamha bhī ġhazal jaisā thā
vo na merā na maiñ us kā thā magar ai 'dānā'
dhuñdlā dhuñdlā sā vo rishta bhī ġhazal jaisā thā