jo haiñ mazlūm un ko to taḌaptā chhoḌ dete haiñ
ye kaisā shahr hai zālim ko zinda chhoḌ dete haiñ
anā ke sikke hote haiñ faqīroñ kī bhī jholī meñ
jahāñ zillat mile us dar pe jaanā chhoḌ dete haiñ
huā kaisā asar ma.asūm zehnoñ par ki bachchoñ ko
agar paise dikhāo to khilaunā chhoḌ dete haiñ
agar ma.alūm ho jaa.e paḌosī apnā bhūkā hai
to ġhairat-mañd hāthoñ se nivāla chhoḌ dete haiñ
mohazzab log bhī samjhe nahīñ qānūn jañgal kā
shikārī sher bhī kavvoñ kā hissa chhoḌ dete haiñ
parindoñ ko bhī insāñ kī tarah hai fikr rozī kī
sahar hote hī apnā āshiyāna chhoḌ dete haiñ
ta.ajjub kuchh nahīñ 'dānā' jo bāzār-e-siyāsat meñ
qalam bik jaa.eñ to sach baat likhnā chhoḌ dete haiñ