Abbas Dana

dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte

Abbas Dana

dil lagāyā hai to nafrat bhī nahīñ kar sakte
ab tire shahr se hijrat bhī nahīñ kar sakte
āḳhrī vaqt meñ jiine kā sahārā hai yahī
terī yādoñ se baġhāvat bhī nahīñ kar sakte
jhuuT bole to jahāñ ne hameñ fankārī kahā
ab to sach kahne kī himmat bhī nahīñ kar sakte
is na.e daur ne māñ-bāp kā haq chhīn liyā
apne bachchoñ ko nasīhat bhī nahīñ kar sakte
ham ujāloñ ke payambar to nahīñ haiñ lekin
kyā charāġhoñ kī hifāzat bhī nahīñ kar sakte
qadr insān kī ghaT ghaT ke yahāñ tak pahuñchī
ab to qīmat meñ ri.āyat bhī nahīñ kar sakte
fan kī tāzīm meñ mar jāoge bhūke 'dānā'
tum to ġhazloñ kī tijārat bhī nahīñ kar sakte
Top Urdushayar.com