yaad terī jo kabhī aatī hai bahlāne ko
aur dīvāna banā jaatī hai dīvāne ko
ham batā.eñge tumheñ shāna-o-gesū ke rumūz
ḳhatm kar lo haram-o-dair ke afsāne ko
us ko mahfil meñ jo dekhā tapish-e-ġham kā sharīk
le liyā sham.a ne āġhosh meñ parvāne ko
bāda-kash vā.iz-e-kaj-fahm se kyā bahs kareñ
us ne dekhā hai bahut duur se maiḳhāne ko
jab na ehsān rahegā na kahānī us kī
aap dohrā.eñge 'ehsān' ke afsāne ko