rasm-e-duniyā ko nibhāte jā.iye
ġham ko siine se lagāte jā.iye
bazla-sanjī se na baaz aa.e agar
ham na lauTeñge bulāte jā.iye
hukm-e-nau ik aur jaarī ho gayā
choT khā kar muskurāte jā.iye
ḳhaak nazroñ meñ hamārī jhoñkiye
ḳhaak meñ ham ko milāte jā.iye
aa.ina ho kar rahūñgī aap kā
merī nazroñ meñ samāte jā.iye
zulmat-e-shab ko sajā kar taaq par
ik diyā ḳhud bhī jalāte jā.iye
hai uThāne kī sakat jo aap meñ
tohmat-e-duniyā uThāte jā.iye
ratjage 'raziya' se ab haiñ multamis
yaad ko apnī sulāte jā.iye