Asim Tanha

ye wahm tha mera ya phir hawa ka jhonka tha

Asim Tanha

1992
ye vahm thā mirā yā phir havā kā jhoñkā thā
thā mahv-e-ḳhvāb uThāyā balā kā jhoñkā thā
ukhāḌ pheñkā hai jis ne daraḳht ko jaḌ se
vo zulmatoñ ke nagar kī anā kā jhoñkā thā
mirī sadā tire kānoñ talak jo pahuñchī thī
qusūr-vār barābar havā kā jhoñkā thā
tavāf karne jo aayā thā raat chupke se
gumān kahtā hai tishna sadā kā jhoñkā thā
jo mere saath rahā ban ke sā.ebāñ 'tanhā'
vo merī maañ ke laboñ kī duā kā jhoñkā thā
Top Urdushayar.com