Asim Tanha

ajab si gard jami hai yahan fazaon mein

Asim Tanha

1992
ajab sī gard jamī hai yahāñ fazāoñ meñ
ki jaise dhuñd milī ho kahīñ havāoñ meñ
jo manziloñ ke nishānāt de rahī haiñ tumheñ
hamārī guuñj bhī shāmil hai in sadāoñ meñ
kisī ke hijr meñ āñkheñ nikhar ga.iiñ apnī
ye bhiig bhiig ke Duubī rahī duāoñ meñ
unhī ke yaad meñ rahtā hai chāñd bhī shādāñ
vo jin kī ḳhushbū abhī tak hai mere gaañv meñ
vo jis ko kahte the tahzīb mar chukī 'āsim'
panāh dhūñDiye jā kar kahīñ guphāoñ meñ
Top Urdushayar.com