diloñ kī ḳhaak uḌne se tumheñ kyā farq paḌtā hai
kisī ke jiine marne se tumheñ kyā farq paḌtā hai
tumhāre ghar ke raste kī udāsī ḳhatm ho jaa.e
mujhe ghar tak... bulāne se tumheñ kyā farq paḌtā hai
tumheñ achchhī nahīñ lagtīñ mirī ḳhushiyāñ batāo kyoñ
mire hañsne-hañsāne se tumheñ kyā farq paḌtā hai
tumheñ to chhat mayassar hai salāmat hai tumhārā ghar
mirā ghar Duub jaane se tumheñ kyā farq paḌtā hai
mire atrāf dushman haiñ parā.e aur apne bhī
laḌe tanhā zamāne se tumheñ kyā farq paḌtā hai