jab kabhī dard ke māroñ kī taraf dekhtā huuñ
maiñ haqīqat meñ sitāroñ kī taraf dekhtā huuñ
Dūbtā huuñ to mujhe haath ka.ī milte haiñ
kitnī hasrat se kināroñ kī taraf dekhtā huuñ
chādareñ un ko mayassar haiñ magar mujh ko nahīñ
maiñ to sardī meñ mazāroñ kī taraf dekhtā huuñ
kyoñ ravānī liye aayā hai yahāñ par dariyā
fikr hotī hai savāroñ kī taraf dekhtā huuñ
ab mire ghar se kahāñ chāñd dikhā.ī degā
maiñ ye hasrat liye tāroñ kī taraf dekhtā huuñ
haañ musībat koī aa jaa.e achānak mujh par
to kahīñ bhī nahīñ yāroñ kī taraf dekhtā huuñ