ajiib tarz-e-taḳhātub ravā huā ab ke
ḳhulūs lahjoñ se yaksar judā huā ab ke
guzashta rut kī tarah ahd mat bhulā denā
pukārtā hai ye kamra sajā huā ab ke
hameñ to yaad bahut aayā mausam-e-gul meñ
vo surḳh phuul sā chehra khilā huā ab ke
Thahar, Thahar ke guzartā hai zard mausam bhī
hameñ to jiinā bhī jaise sazā huā ab ke
na phuul mahke na sabza ugā na barf girī
tumhārā kahnā hī yaaro bajā huā ab ke