jo nazar aanā sakeñ aise bhī manzar dekheñ
dekhne vaale kabhī apne bhī andar dekheñ
rañg ke jism chhueñ nuur ke paikar dekheñ
ḳhvāb kī shahr-panāhoñ meñ utar kar dekheñ
vaqt ne sab se baḌā vaar kiyā hai ham par
kis bulandī se girātā hai muqaddar dekheñ
dekhnā ye hai ki kyā radd-e-amal hotā hai
apne ham-zād ko pahlū se jhaTak kar dekheñ
ittifāq aisā bhī ik roz mayassar aa.e
duur se apne ko hālāt kī zad par dekheñ
dūr-uftāda jazīra hī nikal aa.e koī
us kī āñkhoñ ke samundar meñ utar kar dekheñ