is dasht navardī meñ jiinā bahut āsāñ thā
ham chaak garebāñ the sar par koī dāmāñ thā
ham se bhī bahut pahle aayā thā yahāñ koī
jab ham ne qadam rakkhā ye ḳhāk-dāñ vīrāñ thā
uḌte hue phirte the āvāra ġhubāroñ se
vo vaqt thā jab us ke lauT aane kā imkāñ thā
ye rāh-e-talab yaaro gumrāh bhī kartī hai
sāmān usī kā thā jo be-sar-o-sāmāñ thā