Atiiqullah

farar ke liye jab rasta nahin hoga

Atiiqullah

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1941
farār ke liye jab rāsta nahīñ hogā
to bāb-e-ḳhvāb bhī kyā koī vā nahīñ hogā
ik aise shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhā jaa.e
jahāñ kisī ko koī jāntā nahīñ hogā
vo baat thī to ka.ī dūsre sabab bhī the
ye baat hai to sabab dūsrā nahīñ hogā
yuuñ is nigāh ko apnī kushāda rakhte haiñ
ki is ke baad kabhī dekhnā nahīñ hogā
jo tañg hote ga.e qalb-hā-e-sīna-maqām
koī maqām maqām-e-duā nahīñ hogā
koī zamīn to hogī tirī zamīnoñ par
hamāre jaisā koī naqsh-e-pā nahīñ hogā
Top Urdushayar.com