kīsa-e-darvesh meñ jo bhī hai zar utnā hī hai
aur dekhā jaa.e to mujh ko ḳhatar utnā hī hai
paañv rakhne ke liye koī jagah to chāhiye
shahr ke is baab meñ merā guzar utnā hī hai
maiñ jahāñ pahuñchā nahīñ aise bhī vīrāne batā
dost apnā rishta-e-dīvār-o-dar utnā hī hai
ek musht-e-ḳhāk ye aur vo havā-e-tund-o-tez
aur tirā ehsān merī zaat par utnā hī hai
is galī se us galī tak dauḌtā rahtā huuñ maiñ
raat utnī hī mayassar hai safar utnā hī hai