chalo surañg se pahle guzar ke dekhā jaa.e
phir is pahāḌ ko kāñdhoñ pe dhar ke dekhā jaa.e
udhar ke saare tamāshoñ ke rañg dekh chuke
ab is taraf bhī kisī roz mar ke dekhā jaa.e
vo chāhtā hai kiyā jaa.e e'tibār us par
to e'tibār bhī kuchh roz kar ke dekhā jaa.e
kahāñ pahuñch ke hadeñ sab tamām hotī haiñ
is āsmān se nīche utar ke dekhā jaa.e
ye darmiyān meñ kis kā sarāpā aatā hai
agar ye had hai to had se guzar ke dekhā jaa.e
ye dekhā jaa.e vo kitne qarīb aatā hai
phir is ke baad hī inkār kar ke dekhā jaa.e