Marghoob Ali

uDte hue parindon ke shah-par sameT lun

Marghoob Ali

Najeebabad, Uttar pradesh, India

1952
uḌte hue parindoñ ke shah-par sameT luuñ
jī chāhtā hai shaam ke manzar sameT luuñ
lab par ugā.ūñ us ke dhanak phuul qahqahe
ā.ankhoñ meñ us kī phailā samundar sameT luuñ
pahle milan kā phuul khile ruuh meñ tirī
bāhoñ meñ tujh ko le ke tire Dar sameT luuñ
mumkin nahīñ hai phir bhī maiñ ye chāhtā huuñ kyuuñ
aḳhbār par sulagte hue ghar sameT luuñ
chādar duuñ apne ahd kī zainab ko aur baḌhūñ
nezoñ pe jo saje haiñ sabhī sar sameT luuñ
Top Urdushayar.com