vo jo sarf-e-nigāh kartā hai
is tamāshe kā ek hissa hai
ik añdherā huuñ sar se paañv tak
phir ye pahlū meñ kiyā chamaktā hai
ek din un ko zinda dekhā thā
jan buzurgoñ kā ye asāsa hai
shahr-e-mātam kī is balā se na Dar
ā.īna bhī tilism rakhtā hai
kis ke pairoñ ke naqsh haiñ mujh meñ
mere andar ye kaun chaltā hai
naqsh hai kaun āsmānoñ meñ
in zamīnoñ meñ kis kā chehra hai
maiñ ne banjar dinoñ meñ kholī hai aañkh
maiñ ne peḌoñ ko marte dekhā hai