kākrochoñ makḌiyoñ kī fasl aa kar tū bhī dekh
umr-bhar dekhā jo maiñ ne vo ghaḌī-bhar tū bhī dekh
ik musalsal be-vaqūfī kā amal hai zindagī
mere hisse meñ jo aayā vo muqaddar tū bhī dekh
dūsre ke tajarbe par TeḌhī buniyādeñ na rakh
bulb ko apnī hathelī se pichak kar tū bhī dekh
ḳhvāhisheñ kīḌe-makoḌoñ kī tarah marne lagīñ
ḳhud-kushī kī vārdātoñ kā ye manzar tū bhī dekh
dekh andar kī ragaḌ kitnī aziyyat-nāk hai
tañg kā bosī ḳhalāoñ meñ utar kar tū bhī dekh