kuchh aur din abhī us jā qayām karnā thā
yahāñ charāġh vahāñ par sitāra dharnā thā
vo raat niiñd kī dahlīz par tamām huī
abhī to ḳhvāb pe ik aur ḳhvāb dharnā thā
matā-e-chashm-e-tamannā ye ashk aur ye ḳhaak
rag-e-ḳhayāl se is ko tulūa karnā thā
nigāh aur charāġh aur ye asāsa-e-jāñ
tamām hotī huī shab ke naam karnā thā
gurez kartī huī mauj āb-e-sar par thī
aur ek pal ke sire par mujhe Thaharnā thā