maiñ ḳhud se duur thā aur mujh se duur thā vo bhī
bahāo tez thā aur zad meñ aa gayā vo bhī
chhuā hī thā ki fazā meñ bikhar ke phail gayā
mirī hī tarah dhueñ kī lakīr thā vo bhī
ye dekhne ke liye phir palaT na jā.ūñ kahīñ
maiñ gum na ho gayā jab tak khaḌā rahā vo bhī
abhī to kāñToñ-bharī jhāḌiyoñ meñ aTkā hai
kabhī dikhā.ī diyā thā harā-bharā vo bhī
bichhaḌne vaale kisī ke liye nahīñ rukte
phir aisā vaqt bhī aayā bichhaḌ gayā vo bhī