Atiiqullah

kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi KHamushi shor bharta hua

Atiiqullah

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1941
kaun guzrā thā mehrāb-e-jāñ se abhī ḳhāmushī shor bhartā huā
dhund meñ koī shai juuñ damaktī huī ik badan sā badan se ubhartā huā
sarf kartī huī jaise saa.at koī lamha koī farāmosh kartā huā
phir na jaane kahāñ TuuT kar jā girā ek saaya saroñ se guzartā huā
ek umr-e-gurezāñ kī mohlat bahut phailtā hī gayā maiñ ufuq-tā-ufuq
mere bātin ko chhūtī huī vo nigah aur maiñ chāroñ taraf paañv dhartā huā
ye jo uḌtī huī sā.at-e-ḳhvāb hai kitnī mahsūs hai kitnī nāyāb hai
phuul palkoñ se chuntī huī raushnī aur maiñ ḳhushbueñ tahrīr kartā huā
mere bas meñ the saare zamān-o-makāñ lek maiñ dekhtā rah gayā iin o aañ
chal diyā le ke chuTkī meñ koī zamīñ āsmāñ āsmāñ gard kartā huā
apnī maujūdgī se thā maiñ be-ḳhabar dekhtā kyā huuñ aise meñ yak-dam idhar
qat.a kartī huī shab ke pahlū meñ ik aadmī TūTtā aur bikhartā huā
Top Urdushayar.com