de kar pichhlī yādoñ kā ambār mujhe
pheñk diyā hai saat samundar paar mujhe
har manzar ke andar bhī ik manzar hai
dekhne vaalā bhī to ho tayyār mujhe
terī kamī gar mujh se puurī hotī hai
le ā.eñge log sar-e-bāzār mujhe
saarī chīzeñ ġhair-munāsib lagtī haiñ
haath meñ de dī jaa.e ik talvār mujhe
īñTeñ jaane kab harkat meñ aa jaa.eñ
jaane kis din chun le ye dīvār mujhe
ek musalsal choT sī lagtī rahtī hai
sāmnā ḳhud apnā hai har har baar mujhe