añdherā mere bātin meñ paḌā thā
koī mujh ko pukāre jā rahā thā
ham apne āsmānoñ meñ kahīñ the
hamāre pīchhe koī aa rahā thā
ufuq sunsān hote jā rahe the
sukūt-e-vasl kā manzar bhī kyā thā
chamak kaisī badan se phuuT niklī
hamāre haath meñ kis kā sirā thā
sar-e-lams-e-badan jo lazzateñ thiiñ
ḳhatā ke batan meñ jo kaif sā thā
maiñ sadiyoñ us taraf thā aur vo mujh ko
mirī maujūdgī meñ dekhtā thā
koī shab DhūñDtī thī mujh ko aur maiñ
tirī nīndoñ meñ jā kar so gayā thā
usī ne zulmateñ phailā rakhī haiñ
asās-e-ḳhvāb par jis ko rakhā thā