ham to gum ho ga.e hālāt ke sannāTe meñ
ham ne kuchh bhī na sunā raat ke sannāTe meñ
harf nākām jahāñ hote haiñ un lamhoñ meñ
phuul khilte haiñ bahut baat ke sannāTe meñ
shor hañgāma sadā tabl-o-alam naqqāre
Duub jaate haiñ sabhī maat ke sannāTe meñ
raat paḌte hī har ik roz ubhar aatī hai
kis ke rone kī sadā zaat ke sannāTe meñ
zehn meñ phūloñ kī mānind khilā karte haiñ
ham ne vo pal jo chune saath ke sannāTe meñ